Wednesday, May 16, 2012

Talaash


Na jaane mujhe kiski talaash hai.

Maa-Baap ki khushi ki talaash.
Palkon ko halka karne ki talaash,
Apno ko paas laane ki talaash,
Hothon pe hasi ki talaash,
Doston ke saath ki talaash,
Dushmano se sulah karne ki talaash,
Sapne pure karne ki talaash,
Haathon ki rekhayein badalne ki talaash,
Khush rahane ki talaash,
Gum se dur rahane ki talaash,
Peeda ko dur karne ki talaash,
Basahara ko sahara dene ki talaash,
Aansuyon ko pine ki talaash,
Jeevan ke maksad ki talaash,
Manzil ko paane ki talaash. 
Hai talaash, hai talaash


"Hai mujhe talaash, paa sakun main bhi apna palash"