Wednesday, April 4, 2012

Aankhein


Kise dhundhti hain ye bheed mein, jo bheed hai idhar-udhar, titar-bitar,
Kitni geheraayi hai in mein? jheel se pucho…

Kabhi ye khil khilati hain to kabhi ye num hain,
Kabhi in mein dard zyaada hai to khushi kam hai…

Kabhi ye sapne dekhna chahti hain, to kabhi apno ko dekhna chahti hain.
Kabhi ye tik jaati hain kisi cheez pe, to kabhi inka tikna mushkil ho jaata hai…

Chupaaye rakhti hain ye kai sawaal aur kai jawaab,
Kabhi bunne lagti hain kai khwaab…

Insaan ke naa chaahte hue bhi sab batla deti hain ye,
Jhooth ko sach dikhla deti hain ye…

Kabhi shaitaani jhalakti inmein se,
To kabhi chamak uthti inmein se…

Aansuon ko simtaaye rakhti hain apne mein,
Bas palkon ko bhigaati rahati hai ye…



Aankhein, jo sab bayaan kar deti hain …

3 comments:

Saumya Kulshreshtha said...

Aap toj full on shayar ban gaye!
Btw, try composing this too. This looks like something that would fit beautifully in a melody.

Achint said...

:) composing and all I can't ... I am happy with it ... :)

Luvleen Benbi said...

Delightful.:)