Thursday, July 24, 2014

कबीर

Woh chehekna uska,
Yun khil khilake muskurana uska
Woh zameen pe farrate se daundna uska
Yun ruthna uska, apne mann ki baat puri na hone pe

Yun apne papa ki godi mein simatna uska
To wahin apni mummy pe zor lagana uska
Yun dadi-nani ko apne peeche ghumana uska
To wahin dada-nana se pyaar karana uska

Yun apni bhua ke baalon ke saath khelna uska
To wahin apne Mamu ki ungli pakad ke sona uska
Apni hasi se dusron ka din khushnuma karna uska
Kabhi gir ke hasna uska to kabhi apne aap mein hi kukna uska


Kabir, hum sabka ka pyaar, ehsaas aur ek khushi se jeene ki wajah J  

No comments: