Wednesday, December 17, 2014

Darindagi

Aaj maut maayus bethi hai, aaj maut se bhi bhayanak galti hui hai,
Woh chali aur le aayi maasum bachchon ko apne saath,
Woh bachche jo gaye the padne naa ki marrne.
Woh bachche jo gaye the kuch naya seekhne.

Peshawar ki aisi ghatna jo har manushya ko sochne pe majbur karti hai insaaniyat ki mojudgi.
Ye sach hai ki Aatankwaadi ka koi mazhab nahi hota, lekin is ghatna se ye bhi saabit ho gaya ki aatankwaadi insaan bhi nahi hota. Yahan tak ki jaanwar bhi inse bhale hote hain.

Aankhon mein sapne liye gaye the bachche har roz ki tarah, Kyun un maasumon ke sapne ujaade, ye koi bataye zara.
Koi bhaga, koi kuda, koi chupa, koi marrne ka naatak kiya to kaiyon ki saanse tham gayi.
Haiwaan hain maarne waale inhe, kya galti thi unki, maara hai in darindo ne jinhe.

Khoon se sani laashein, khoon mein bheege unke kapde aur jute apne aap mein hi maatam sa maahaul banate hain.
Phati kitaabein. Khoon ke dhabbe diwaron pe, farsh pe, kursiyon pe ek saath cheekh rahe hain aur badla maang rahe hain
Sipahiyon ki vesh bhusha mein aatankwaadi, kaun vishwaas dilayega in maasumon ko ki sipahi achche hote hain.

Ammi ghar mein bethe intezaar kar rahi thi apne laal ka, wahan laal, laal rang mein dube hue jannat ki ser ke liye nikal pada tha.
Abbu gaye the apne chand ke tukde ko paathshaala se laane, aur le aaye uski laash apni baahon mein.

Maarne waale islam ka naam lete hain, woh mazhab jiski quran ae shareef mein bachchon aur aurton ko maarna gunah hai.
Ab to bas yehi khyaal aata hai ki kya maarne waalon ke khud ke bachche nahi honge, kya maarne khud kabhi bachche nahi honge. 




Allah jawab de ab.

No comments: