Insaan pyaar ka bhukha hai ya roti ka.
Apnapan kahin kho gaya hai ya phir matlabi ab manushya
ho gaya hai.
Batt rahe hain mandir aur masjid ke naam pe ya phir
sharab aur paison ke daam pe.
Koi ladd raha hai sapne dekh ke to koi ladd raha hai
apno ko dekhke.
Kahin koi sapne dikha raha hai to dusri aur koi apni
galtiyon ka hisaab chuka raha hai.
Udhar hosh mein behosh hote log to idhar jeet ke saaye
mein madhosh hote log.
Kuch log gareebon ke zakhm kured rahe hain to kuch log puraane
zakhmon pe namak chidak rahe hain.
Koi ruth raha hai, koi tut raha hai to kahin koi loot
raha hai.
Iss baar sarkar kisi ki bhi aaye, ho sake to ek baar
achchi aur sachchi sarkar aaye.
No comments:
Post a Comment