Friday, June 21, 2013

Aansu Bahaati Nadi

Chattano se takrati aur bhayanak lagti ganga
Kar gayi kisi ka ghar to kisi ke vishwas ko nanga

Insaano ke saalon se chale aa rahe atyachaaron ko jhelti ganga
Aaj dikha diya apna rang, rup aur bann gayi kai jaano ki phaansi ka fanda

Teerth yaatra kar rahe logon ne dekha adbhut nazara
Bhagwaan bhi kabhi hai vivash to kabhi besahara

Logon ne dekha apno ko behte hue
Shiv bhi behe chale bethe hue

Kukur aur gidd wahan kha rahe hain laashein
dekhti ye daravna khwaab, bann gayi gawah kai logon ki nigaahein

Yamuna ka badta jalstar, ho rahein hain log titar bitar
Bachao use, gale lagao, mat ho tum idhar udhar

kaun hai doshi, puch raha hai insaan
kai logon ne apradhi thehrayi sarkaar, to kaiyo ne thehraya bhagwaan

ganga wahan ro rahi hai, log usmein bhi khot nikaal rahe hain
ab to sabak lena chahiye humein, ye vinaash vishaal hai

kehte aur maante hai Ganga aur Yamuna ko apni Maa
Aaj usi ki chaati pe basa rahe hain sheher, baandh aur kar rahe hain use tabah …


1 comment:

Anxious Lady said...

AWESOME !! loved it <3