Chattano se takrati aur bhayanak lagti ganga
Kar gayi kisi ka ghar to kisi ke vishwas ko nanga
Insaano ke saalon se chale aa rahe atyachaaron ko
jhelti ganga
Aaj dikha diya apna rang, rup aur bann gayi kai jaano
ki phaansi ka fanda
Teerth yaatra kar rahe logon ne dekha adbhut nazara
Bhagwaan bhi kabhi hai vivash to kabhi besahara
Logon ne dekha apno ko behte hue
Shiv bhi behe chale bethe hue
Kukur aur gidd wahan kha rahe hain laashein
dekhti ye daravna khwaab, bann gayi gawah kai logon ki nigaahein
Yamuna ka badta jalstar, ho rahein hain log titar
bitar
Bachao use, gale lagao, mat ho tum idhar udhar
kaun hai doshi, puch raha hai insaan
kai logon ne apradhi thehrayi sarkaar, to kaiyo ne
thehraya bhagwaan
ganga wahan ro rahi hai, log usmein bhi khot nikaal
rahe hain
ab to sabak lena chahiye humein, ye vinaash vishaal
hai
kehte aur maante hai Ganga aur Yamuna ko apni Maa
Aaj usi ki chaati pe basa rahe hain sheher, baandh
aur kar rahe hain use tabah …