Friday, January 4, 2013

Tribute to Damini

Aaj naa to uska koi naam hai, na koi mazhab
hai to bas uski ek pehechaan
Damini naam elaan kar kiya use samman

darindo aur jaanwaro ke beech phasi thi woh
chilla chilla ke ro aur dard sehe rahi thi woh
Damini thi woh

apni maa se insaaf maangti woh
apne pita ki sulagti aankhon mein dekhti woh
Damini thi woh

desh ko ek kar chal di woh
magar ye desh uski maut ka intezaar kar raha tha kyun?
Damini aur Nirbhaya se tulna ki gayi kyun?

ek ladki hone ka dard na jaana tha usne
maa-baap ke aangan ki raunak badai thi jisne
Damini naam rakha hai kisne?

aise ghinone darindo ki to bhagwaan ne bhi kalpna nahi ki hogi
sawaal to bas yehi hai kya unke ghar maa-behen nahi hongi?
kisne jaana tha ki wahi kaali raat Damini ke liye hogi


Ishwar, bhagwaan rakhe salaamat use apne paas
aur kaha do Shaitaan se ki jald 'che' paapi aa rahe hain uske paas