Saturday, October 18, 2014

Aur tum bhool gaye ...

Aaj meri palkon pe aansu nahi aaye.
Aaj main sambhal gaya.

Dekh ke khushi mann mein uske,
main dukhi ho gaya.

Dukhi isliye nahi ki woh khush hai,
balki isliye ki woh sab itni asaani se bhool gayi.

Bhool gayi woh pal, woh lamhe jo humne saath bitaaye the.
Bhool gayi woh sapne jo humne saath sajaaye the.

Mann kabhi kabhi udaas hota hai sochke.
Insaan hun main bhi, hota hun dukhi kisi ko khoke.

Khair waqt ke aage jeet nahi hui kisi ki,
lekin waqt aur zamana humse hi hai.

Hum waise hi jeetein hain jaise hum jeena chahte hain.
Aaj bas apni sharton pe jeeta hun.