Saturday, January 9, 2010

Bachpan ke din chaar... naa aayenge baar baar....

bas ek bar wapas lautne ka mann karta hai,
aaj har wo din jeene ko mann karta hai…

woh chalte chalte unhi fisal jaana,
to kabhi apni hi bevkufi pe hasna…

woh baarish ki boondon ko pakadna,
garmiyon mein suraj ko doshi thaharana to usi suraj ko thand mein gale lagana…

apni galtiyon pe sir jhuka ke sharm se khade hona,
to wahi dusron ki galtiyon pe hasna…

choti choti baaton se palkon pe aansu aana,
to kabhi bina baat hi muskura dena…

ye hain bachpan ki kuch baatein,
jo ab simat ke bann gayi hai kuch yaadein …

bas ek bar wapas lautne ka man karta hai,
Aaj har wo din jeene ko man karta hai…